Saturday, January 28, 2012

Ab jab bhi shaam hoti hai,
Tumhare hath ki chai toh nahi milti..
Par tumhari khushboo roz aa kar is kursi par baith jati hai.
Jab main us se baat karne ke liye, usei choone ke liye apna haath agey badhata hoon, toh badmash jhatt se ud jaati hai.

Ab Maine bhi ek shararat seekh li hai....
Jab tumhari khushboo aur main shaam ko baithtey hain naa, toh main usei dekhta he nahi.
Tab naaraz ho kar apney aap he meri saanso se khelne lagti hai..
Bilkul jaise tum khelti thi.. har subah..un bheegey baalon ke saath, jab main soya karta tha.

3 comments: